“MAR MAR KE JE RAHA HUN Je je ke mar raha hun, Mar mar ke je raha hun, Dil ka haal ye hai, bas Jise zehar pi raha hun. Khud se hi bair hai ab, Duniya se kya gila hai, Jashn-e-gham manata Aansu mein pi raha hun. Uljhnein meri saheli, Aansu mere saathi hai, Pal pal bikhar ke janid, Apni zindagi ji raha hun.” LifePoemJanid KashmiriNazm Author:Janid Kashmiri
“MEIN PIS CHUKA HUN Duniya ki iss reet se, Rishton ki iss preet se, Mooh se, man meet se, Mein pis chuka hun. Jhuti muskurahat mein, Dil ki her chaahat mein, Dard ki is parwaahat mein, Mein pis chuka hun. Mitti se bane wajood mein, Sapnon ke thake usool mein, Aansu ki har boond mein, Mein pis chuka hun. Guzar gayi jo rahein thi, Khwabon ki jo baahein thi, Khoye hue fasane ki raahein thi, Mein pis chuka hun. Duniya ke rangon se door hoon, Apne hi rang mein choor hoon, Bas khamoshi mein purzor hoon, Mein pis chuka hun. Khatam hui umeedon ki baat, Rishton ka har pyaala saath, Dil ke har zakhm ki baat, Mein pis chuka hun. Mujhe yun hi rehne do ab, Apni tanhaayi mein jeene do ab, Is fasane se rukhsat lene do ab, Kyunki, mein pis chuka hun.” LifePoemNazmHindishayari Author:Janid Kashmiri
“Tumhare bina zindagi" Main tumhare sath hamesha hoon, bas ye baat samajh lo Meri mohabbat sacchi hai, is ko apna yaqeen maan lo Tumhare bina zindagi, bas ek khaali kitaab hai Meri har saans tumhare naam, is ko apna khwab maan lo Ye jo shak ke saaye hain, inhein tum door kar do Meri wafa ko samjho, meri jaan, is ko apna haq maan lo Main jo toota hoon, ye tumhare gham mein hai Meri mohabbat ki shiddat, is ko apni aas maan lo Tum se bicharna, ye mera naseeb nahi ho sakta Meri jaan, mere dil ki baat sun lo, mujhe apna naseeb maan lo Jo dard tumhare dil mein hai, wo mere dil mein hai Meri mohabbat ki gawahi, is ko apna sukoon maan lo Main tumhara tha, tumhara hoon, aur tumhara rahoonga Meri jaan, is haqeeqat ko apne dil mein amanat maan lo Ab jo dil mein basa hai, wahi rahega hamesha Mere ishq ki shiddat, is ko apni jaan ka hissa maan lo Shaista, meri pyari Shaista, bas itni si guzarish hai Meri jaan, mujhe apna samajh lo, aur kabhi chhod ke mat jao” LoveLifeJanid KashmiriGazalNazmRekhta Author:Janid Kashmiri
“Sab Khafa hai” Zindagi ke mod pe aisa aa poncha hun Mohabbat bhi naraaz, dost bhi khafa hai Ghar ke log bhi mujh se door ho gaye hai Aur khwabon ki duniya bhi veeran pari hai Dil ki har dhadkan mein dard ka shor hai Har saans mein bechaini ka dor hai Taleem ki rahein bhi ajnabi ho gayi Har rasta jaise andheron mein gum hai Mohabbat ke chiragh bujhne ko hai Doston ki baatein ab bojh ban gayi hai Ghar ka sukoon bhi kahin kho sa gaya Zindagi ki ronaqein jaise chhup si gayi hai Ansuon ki qatar, ghamon ki bahar hai Har khwab adhura, har khwahish beqarar hai Mohabbat ka rang, ab dhundhla sa para hai Aur dil ki har umeed, bujh si gayi hai Zindagi ke is safar mein tanha sa hun Jahan koi bhi saathi nahin mera Mohabbat ho, dosti ho, ya taleem ka rasta Sab kuch ab bikra, sab kuch hai veeran Phir bhi yeh dil kehta hai, umeed rakhoon Andheron ke baad roshni zaroor aaye gi Khwab phir se sajain ge, dil phir se chamke ga Zindagi ke is safar mein ek naya sooraj ubhrey ga” Janid KashmiriGazalNazmUrdu GazalHindi Gazal Author:Janid Kashmiri
“GUZAR TA NAHI YE SHAAM-E-GHAM Guzar ta nahi ye shaam-e-gham Zindagi ke dukhon ka hai peham sitam Qadam qadam par thakan ka pehra Himaton ke chiragh bhi ho gaye madhham Musaafir hoon raahon ka jin ko khabar Manzilon ka saraab hai, dil ka maatam Khawab jo bune the, reza reza huye Haath khaali rahe, na raha koi dum Sawaal ye hai, aye falak-e-jafa Kitna aur sehna hai, bata ye sanam Guzar jaye ye shaam-e-gham kisi tarah Warna raah mein bikhar jayein hum” PoetryDepressionAnxiety QuotesJanid KashmiriGazalNazm Author:Janid Kashmiri
“Dua" Yeh jo rahein tumne li hain Hum duago hain yeh sab hamwaar hon Khawab jo tumne sanware the dil mein Woh haqeeqat ki soorat namoodar hon Har qadam par mile tumko kamiyabi Zindagi mein khushi ke hazaron bahar hon Har museebat se tumko bachaye Khuda Saya-e-Rehmat tum pe hamesha barqarar hon Aaney walay dino mein ho roshan safar Tumhare liye khushi ke ambaar hon Yeh jo ilm ka khazana tumne paya hai Iski roshni tumhare gird hisaar ho Tum jahan bhi jao, roshni ho har qadam Andheron se tumhara koi wasita na ho Mohabbat ki khushboo tumhare sang chale Har dil mein tumhare liye pyar ho Gham ke saaye kabhi tum par na aayein Tumhari zindagi hamesha khushgawar ho Humari duaein hain, har pal tumhare saath Tumhari har dua bhi qubool o aashkaar ho” FriendshipGazalNazm Author:Janid Kashmiri