Quotessence
Home / Topics / Gazal Quotes

Gazal Quotes

Browse 8 quotes about Gazal.

Gazal Quotes

“Tumhare bina zindagi" Main tumhare sath hamesha hoon, bas ye baat samajh lo Meri mohabbat sacchi hai, is ko apna yaqeen maan lo Tumhare bina zindagi, bas ek khaali kitaab hai Meri har saans tumhare naam, is ko apna khwab maan lo Ye jo shak ke saaye hain, inhein tum door kar do Meri wafa ko samjho, meri jaan, is ko apna haq maan lo Main jo toota hoon, ye tumhare gham mein hai Meri mohabbat ki shiddat, is ko apni aas maan lo Tum se bicharna, ye mera naseeb nahi ho sakta Meri jaan, mere dil ki baat sun lo, mujhe apna naseeb maan lo Jo dard tumhare dil mein hai, wo mere dil mein hai Meri mohabbat ki gawahi, is ko apna sukoon maan lo Main tumhara tha, tumhara hoon, aur tumhara rahoonga Meri jaan, is haqeeqat ko apne dil mein amanat maan lo Ab jo dil mein basa hai, wahi rahega hamesha Mere ishq ki shiddat, is ko apni jaan ka hissa maan lo Shaista, meri pyari Shaista, bas itni si guzarish hai Meri jaan, mujhe apna samajh lo, aur kabhi chhod ke mat jao”

“Sab Khafa hai” Zindagi ke mod pe aisa aa poncha hun Mohabbat bhi naraaz, dost bhi khafa hai Ghar ke log bhi mujh se door ho gaye hai Aur khwabon ki duniya bhi veeran pari hai Dil ki har dhadkan mein dard ka shor hai Har saans mein bechaini ka dor hai Taleem ki rahein bhi ajnabi ho gayi Har rasta jaise andheron mein gum hai Mohabbat ke chiragh bujhne ko hai Doston ki baatein ab bojh ban gayi hai Ghar ka sukoon bhi kahin kho sa gaya Zindagi ki ronaqein jaise chhup si gayi hai Ansuon ki qatar, ghamon ki bahar hai Har khwab adhura, har khwahish beqarar hai Mohabbat ka rang, ab dhundhla sa para hai Aur dil ki har umeed, bujh si gayi hai Zindagi ke is safar mein tanha sa hun Jahan koi bhi saathi nahin mera Mohabbat ho, dosti ho, ya taleem ka rasta Sab kuch ab bikra, sab kuch hai veeran Phir bhi yeh dil kehta hai, umeed rakhoon Andheron ke baad roshni zaroor aaye gi Khwab phir se sajain ge, dil phir se chamke ga Zindagi ke is safar mein ek naya sooraj ubhrey ga”

“GUZAR TA NAHI YE SHAAM-E-GHAM Guzar ta nahi ye shaam-e-gham Zindagi ke dukhon ka hai peham sitam Qadam qadam par thakan ka pehra Himaton ke chiragh bhi ho gaye madhham Musaafir hoon raahon ka jin ko khabar Manzilon ka saraab hai, dil ka maatam Khawab jo bune the, reza reza huye Haath khaali rahe, na raha koi dum Sawaal ye hai, aye falak-e-jafa Kitna aur sehna hai, bata ye sanam Guzar jaye ye shaam-e-gham kisi tarah Warna raah mein bikhar jayein hum”

“Gazal of Janid Kashmiri {NAHI HAI GHAM SIRF TUM KO } Nahi hai gham sirf tum ko, Mujhe bhi gham hai bohot jana, Ye zindagi ki raahon mein, Hai humne dukh se bhi takrana. Tumhare aansoon hain qeemti, Mere bhi dard hain kahin chhupay, Par humko mil kar chalna hai, Har mushkil se humko ladna hai. Raat ke andheron se darte nahi, Subah ki roshni ko paana hai, Dil mein umeedon ka chirag jalao, Har rukh ko roshan kar dena hai. Ghamon ki baarishon mein bhi, Sang rahe humara pyaar, Ek doosre ka saath denge, Mushkil ghadiyon ko aasan karenge. Tum ho meri zindagi ka rang, Meri khushi, meri duniya ho, Mushkil raahon pe chal kar bhi, Har manzil tumse hi roshan ho. To chalo saath hum mil kar, Har gham ko hum saath sahenge, Mere haath mein tumhara haath ho, Har dukh ko hum khushiyon mein badal denge.”

“کہاں جاؤں گا خبر نہیں نکل رہا ہوں، کہاں جاؤں گا خبر نہیں چھوڑ آیا ہوں سب کچھ، دل کو قرار نہیں۔ گھر کے آنگن کی خوشبو، یادوں کا لمس سب کو چھوڑ آیا، کوئی آثار نہیں۔ تنہا ہوں مگر تیری یاد ساتھ ہے یہ بوجھ بھی اٹھا رہا ہوں، کوئی غمخوار نہیں۔ نہ جانے راہیں کہاں لے جائیں گی مجھے بس دل میں تیری محبت ہے، اور کچھ درکار نہیں۔ نہ منزلوں کی فکر ہے، نہ راستوں کا پتہ بس قدموں کو چلنے دیا، کوئی ہمدردی کارگر نہیں۔ میں چھوڑ آیا ہوں اپنی دنیا کا ہر نشاں مگر تیرا نقش دل سے مٹنے کو تیار نہیں۔ ہوا کا رخ بدلتا جائے، وقت بھی دشمن بنے تیرے بغیر یہ زندگی، کچھ بھی خوشگوار نہیں۔”

“KASHISH Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye”

“Qatil hun main khud jazbaat ka meray” Qatil hun main khud jazbaat ka meray, Har din karta hun qatl apni baat ka meray. Jo dil ke kone mein chhupa dukh tha, Aaj ban gaya hai shor hayaat ka meray. Meri har khushi ko main khud mitata raha, Qareeb na aaya koi bhi saath ka meray. Mohabbat ka diya khud hi bujhaya maine, Kya gila karun ab kisi firaaq ka meray? Har dafa main khud hi chor ban jata hun, Shikayat kaisi ho kisi ilzaam ka meray? Qatil hun main khud jazbaat ka meray, Har din karta hun qatl apni baat ka meray.”

“Dua" Yeh jo rahein tumne li hain Hum duago hain yeh sab hamwaar hon Khawab jo tumne sanware the dil mein Woh haqeeqat ki soorat namoodar hon Har qadam par mile tumko kamiyabi Zindagi mein khushi ke hazaron bahar hon Har museebat se tumko bachaye Khuda Saya-e-Rehmat tum pe hamesha barqarar hon Aaney walay dino mein ho roshan safar Tumhare liye khushi ke ambaar hon Yeh jo ilm ka khazana tumne paya hai Iski roshni tumhare gird hisaar ho Tum jahan bhi jao, roshni ho har qadam Andheron se tumhara koi wasita na ho Mohabbat ki khushboo tumhare sang chale Har dil mein tumhare liye pyar ho Gham ke saaye kabhi tum par na aayein Tumhari zindagi hamesha khushgawar ho Humari duaein hain, har pal tumhare saath Tumhari har dua bhi qubool o aashkaar ho”